NimantranKaroFree mein banaiye

NimantranKaro

Nyota, jo dil se bheja jaaye

NimantranKaro Indian shaadiyon ke liye digital invitation banata hai — Hindi, English ya Hinglish mein, mobile se, kuch hi minute mein.

Humne yeh kyun banaya

Shaadi mein paanch-chhe functions hote hain — haldi, mehndi, sangeet, vivaah, reception. WhatsApp par bheji gayi ek bhaari PDF ya video mein mehmaan baar-baar date, time aur address dhoondhte rehte hain. Badlaav ho jaaye toh sabko dobara bhejna padta hai.

Bade-buzurg Hindi mein padhna pasand karte hain, youngsters English ya Hinglish mein. Humein laga ki nyota aisa ho jo sabki bhasha bole, ek link mein saari jaankari rakhe, aur phir bhi utna hi sundar lage jitna chhapa hua card.

Isliye humne NimantranKaro banaya: ek link, jismein har function, Google Map, RSVP, countdown, photos aur music — aur mehmaan ek tap mein apni bhasha chun lein.

Hamare vaade

Kaun banata hai

NimantranKaro, Software Crafting Technologies ka product hai — ek Indian software company. Address: Block CB 33B, Naraina Vihar, New Delhi, Delhi 110028, India.

Form nahi bharna chahte?

Seedha call ya WhatsApp kariye — hum madad karenge.

4 sundar designs — khulte darwaze, mahal ka dwaar, lifafa aur gende ka toran.

Designs dekhiye
Call WhatsApp